hans ke sah lenge ranj-o-alam dekhna
hañs ke sah leñge ranj-o-alam dekhnā
mushkiloñ meñ bhī sābit qadam dekhnā
dostoñ hausle hoñ na kam dekhnā
rāstoñ ke zarā pech-o-ḳham dekhnā
bah rahā hai jo dariyā-e-jabr-o-sitam
paar kar jā.eñge ye bhī ham dekhnā
ik taġhayyur zamāne ko de jā.eñge
tum hamārā bhī zor-e-qalam dekhnā
hans ke sah lenge ranj-o-alam dekhna
mushkilon mein bhi sabit qadam dekhna
doston hausle hon na kam dekhna
raston ke zara pech-o-KHam dekhna
bah raha hai jo dariya-e-jabr-o-sitam
par kar jaenge ye bhi hum dekhna
ek taghayyur zamane ko de jaenge
tum hamara bhi zor-e-qalam dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.