hans len ye sitare bhi abhi raat ke upar
hañs leñ ye sitāre bhī abhī raat ke uupar
din chaḌhte hī aa jā.eñge auqāt ke uupar
ban jaa.e na vīrānī-e-dil apnī tamāshā
ham ḳhol chaḌhā lete haiñ ik zaat ke uupar
pahle to samajhte rahe har shai ko tamāshā
ab roke bhī kyā kījiye hālāt ke uupar
dekhā hai uchhaltī huī dastāroñ kā manzar
ik fitna-e-daurāñ se mulāqāt ke uupar
vā'iz kabhī maidān-e-amal meñ bhī qadam rakh
is silsila-e-kashf-o-karāmāt ke uupar
'ibrat to koī lene ko tayyār nahīñ hai
haañ jashn manāte haiñ mazārāt ke uupar
'az.har' na thī is baat meñ kuchh bhī to haqīqat
ik hashr sā barpā huā jis baat ke uupar
hans len ye sitare bhi abhi raat ke upar
din chaDhte hi aa jaenge auqat ke upar
ban jae na virani-e-dil apni tamasha
hum KHol chaDha lete hain ek zat ke upar
pahle to samajhte rahe har shai ko tamasha
ab roke bhi kya kijiye haalat ke upar
dekha hai uchhalti hui dastaron ka manzar
ek fitna-e-dauran se mulaqat ke upar
wa'iz kabhi maidan-e-amal mein bhi qadam rakh
is silsila-e-kashf-o-karamat ke upar
'ibrat to koi lene ko tayyar nahin hai
han jashn manate hain mazaraat ke upar
'azhar' na thi is baat mein kuchh bhi to haqiqat
ek hashr sa barpa hua jis baat ke upar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.