hanse roe phire ruswa hue jage bandhe chhuTe
hañse ro.e phire rusvā hue jaage bañdhe chhūTe
ġharaz ham ne bhī kyā kyā kuchh mohabbat ke maze luuTe
kaleje meñ phaphūle dil meñ daaġh aur gul haiñ hāthoñ par
khile haiñ dekhiye ham meñ bhī ye ulfat ke gul-būTe
tafāvut kuchh nahīñ gulchīñ meñ aur be-dard ḳhūbāñ meñ
jo us ke haath gul TuuTe to in ke haath dil TuuTe
hazāroñ gāliyāñ diiñ phir zarā hañs kar idhar dekhā
bhalā itnī tasallī se phaphūle dil ke kab phūTe
kuchalte ho mujhe tum maiñ ye māñgūñ huuñ duā dil meñ
koī dilbar mire aage tumheñ bhī ḳhuub sā kuuTe
zabāñ kī kar ke miqrāz aur banā dushnām kā kāġhaz
hamāre haq meñ kyā kyā aap ne katre haiñ gul-būTe
ye kahte haiñ ki āshiq chhūT jaatā hai aziyyat se
jab us kī umr ko lashkar ajal kā aan kar luuTe
hamārī ruuh to phirtī hai māshūqoñ kī galiyoñ meñ
'nazīr' ab ham to mar kar bhī na is janjāl se chhūTe
hanse roe phire ruswa hue jage bandhe chhuTe
gharaz hum ne bhi kya kya kuchh mohabbat ke maze luTe
kaleje mein phaphule dil mein dagh aur gul hain hathon par
khile hain dekhiye hum mein bhi ye ulfat ke gul-buTe
tafawut kuchh nahin gulchin mein aur be-dard KHuban mein
jo us ke hath gul TuTe to in ke hath dil TuTe
hazaron galiyan din phir zara hans kar idhar dekha
bhala itni tasalli se phaphule dil ke kab phuTe
kuchalte ho mujhe tum main ye mangun hun dua dil mein
koi dilbar mere aage tumhein bhi KHub sa kuTe
zaban ki kar ke miqraaz aur bana dushnam ka kaghaz
hamare haq mein kya kya aap ne katre hain gul-buTe
ye kahte hain ki aashiq chhuT jata hai aziyyat se
jab us ki umr ko lashkar ajal ka aan kar luTe
hamari ruh to phirti hai mashuqon ki galiyon mein
'nazir' ab hum to mar kar bhi na is janjal se chhuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.