hansi hansi mein har ek gham chhupane aate hain
hañsī hañsī meñ har ik ġham chhupāne aate haiñ
hasīn she'r hameñ bhī sunāne aate haiñ
hamāre dam se hī ābād haiñ galī-kūche
chhatoñ pe ham hī kabūtar uḌāne aate haiñ
darīcha khol diyā thā tire ḳhayāloñ kā
havā ke jhoñke abhī tak suhāne aate haiñ
visāl hijr vafā fikr dard majbūrī
zarā sī 'umr meñ kitne zamāne aate haiñ
hasīn ḳhvāboñ se milne ko pahle sote the
ki ab to ḳhvāb bhī nīñdeñ uḌāne aate haiñ
'ra.īs' khiḌkiyāñ saarī na kholiye ghar kī
havā ke jhoñke diye bhī bujhāne aate haiñ
hansi hansi mein har ek gham chhupane aate hain
hasin she'r hamein bhi sunane aate hain
hamare dam se hi aabaad hain gali-kuche
chhaton pe hum hi kabutar uDane aate hain
daricha khol diya tha tere KHayalon ka
hawa ke jhonke abhi tak suhane aate hain
visal hijr wafa fikr dard majburi
zara si 'umr mein kitne zamane aate hain
hasin KHwabon se milne ko pahle sote the
ki ab to KHwab bhi ninden uDane aate hain
'rais' khiDkiyan sari na kholiye ghar ki
hawa ke jhonke diye bhi bujhane aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.