hansi hansi mein koi khel chal raha hoga
hañsī hañsī meñ koī khel chal rahā hogā
saḌak pe phir koī insān jal rahā hogā
bahut udaas haiñ hākim agar to shahr mirā
kisī fasād ke sāñche meñ Dhal rahā hogā
jo garm chhīñTe havāoñ ke saath aate haiñ
kisī kī aañkh kā paanī ubal rahā hogā
añdherī raat meñ Tapkā thā ḳhūn-e-dil jis meñ
usī charāġh se sūraj nikal rahā hogā
kuñvārī laash kī āñkhoñ meñ jhāñk kar dekho
hasīn ḳhvāb abhī tak machal rahā hogā
vahīñ vahīñ pe chaleñge ye tez ḳhanjar bhī
jahāñ jahāñ tirā aḳhbār chal rahā hogā
badal rahī hai qafas meñ havā agar 'panchhī'
to maqtaloñ meñ bhī mausam badal rahā hogā
hansi hansi mein koi khel chal raha hoga
saDak pe phir koi insan jal raha hoga
bahut udas hain hakim agar to shahr mera
kisi fasad ke sanche mein Dhal raha hoga
jo garm chhinTe hawaon ke sath aate hain
kisi ki aankh ka pani ubal raha hoga
andheri raat mein Tapka tha KHun-e-dil jis mein
usi charagh se suraj nikal raha hoga
kunwari lash ki aankhon mein jhank kar dekho
hasin KHwab abhi tak machal raha hoga
wahin wahin pe chalenge ye tez KHanjar bhi
jahan jahan tera aKHbar chal raha hoga
badal rahi hai qafas mein hawa agar 'panchhi'
to maqtalon mein bhi mausam badal raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.