hañsī laboñ pe hai dil meñ shaguftagī to nahīñ
ye ik latīf sā dhoka hai zindagī to nahīñ
samajh rahā huuñ ki apnā banā liyā hai unheñ
isī kā naam mohabbat kī sādgī to nahīñ
lagā rahā huuñ laboñ kī hañsī se andāza
ki mere ġham kī talab meñ koī kamī to nahīñ
nafas nafas pe ye hotā hai kyuuñ mujhe mahsūs
hayāt tujh se alag rah ke ḳhud-kushī to nahīñ
mire qarīb se begāna-vār guzrā hai
maiñ ajnabī use samjhūñ vo ajnabī to nahīñ
ye kis liye mirī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ahbāb meñ kamī to nahīñ
ye kis ḳhushī meñ manāte haiñ jashn ahl-e-chaman
kalī kā ḳhuun huā hai kalī hañsī to nahīñ
nafas nafas meñ hai mānūs nik.hatoñ kā ḳhirām
chhupā huā koī mere qarīb hī to nahīñ
samajh rahā huuñ jise barq kī chamak 'shā.ir'
kahīñ vo mere nasheman kī raushnī to nahīñ
hansi labon pe hai dil mein shaguftagi to nahin
ye ek latif sa dhoka hai zindagi to nahin
samajh raha hun ki apna bana liya hai unhen
isi ka nam mohabbat ki sadgi to nahin
laga raha hun labon ki hansi se andaza
ki mere gham ki talab mein koi kami to nahin
nafas nafas pe ye hota hai kyun mujhe mahsus
hayat tujh se alag rah ke KHud-kushi to nahin
mere qarib se begana-war guzra hai
main ajnabi use samjhun wo ajnabi to nahin
ye kis liye meri aankhon mein aa gae aansu
KHayal-e-KHatir-e-ahbab mein kami to nahin
ye kis KHushi mein manate hain jashn ahl-e-chaman
kali ka KHun hua hai kali hansi to nahin
nafas nafas mein hai manus nikhaton ka KHiram
chhupa hua koi mere qarib hi to nahin
samajh raha hun jise barq ki chamak 'shair'
kahin wo mere nasheman ki raushni to nahin
Videos
This video is playing from YouTube
Shaayar Lakhnavi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.