hansi labon se chaman se gulon ko chhina hai
hañsī laboñ se chaman se guloñ ko chhīnā hai
is eqtidār ne kitnoñ kā ghar ujāḌā hai
har ek kūcha-o-bāzār ḳhuuñ se hai rangīñ
hamāre shahr meñ paanī se ḳhuun sastā hai
haiñ jitne phuul vo sab haiñ nazar churā.e hue
chaman meñ apnā rafīq ek ḳhaar tanhā hai
ḳhulūs pyaar kī ab chāñdnī kahāñ logo
har ek dil pe musallat yahāñ añdherā hai
nigāh paḌtī hai us par to hosh uḌte haiñ
sharāb to vo nahīñ hai sharāb jaisā hai
guzar rahe haiñ ye kis daur se ḳhudā jaane
har ek lamha nayā inqalāb laatā hai
hansi labon se chaman se gulon ko chhina hai
is eqtidar ne kitnon ka ghar ujaDa hai
har ek kucha-o-bazar KHun se hai rangin
hamare shahr mein pani se KHun sasta hai
hain jitne phul wo sab hain nazar churae hue
chaman mein apna rafiq ek KHar tanha hai
KHulus pyar ki ab chandni kahan logo
har ek dil pe musallat yahan andhera hai
nigah paDti hai us par to hosh uDte hain
sharab to wo nahin hai sharab jaisa hai
guzar rahe hain ye kis daur se KHuda jaane
har ek lamha naya inqalab lata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.