hansi mein gham chhupaya ja raha hai
hañsī meñ ġham chhupāyā jā rahā hai
ba-zāhir muskurāyā jā rahā hai
jatāyā jā rahā hai pyaar lekin
sitam bhī āzmāyā jā rahā hai
hamāre haal par karke ināyat
zamāne ko hañsāyā jā rahā hai
bhulāyā thā baḌī mushkil se jis ko
vahī phir yaad aayā jā rahā hai
huā to hai nigāhoñ se vo ojhal
magar ḳhvāboñ meñ paayā jā rahā hai
charāġhoñ se kareñge guftugū ham
ki ab sūraj kā saaya jā rahā hai
sunā hai ab 'nasīm' un kī zabāñ par
hamārā naam paayā jā rahā hai
hansi mein gham chhupaya ja raha hai
ba-zahir muskuraya ja raha hai
jataya ja raha hai pyar lekin
sitam bhi aazmaya ja raha hai
hamare haal par karke inayat
zamane ko hansaya ja raha hai
bhulaya tha baDi mushkil se jis ko
wahi phir yaad aaya ja raha hai
hua to hai nigahon se wo ojhal
magar KHwabon mein paya ja raha hai
charaghon se karenge guftugu hum
ki ab suraj ka saya ja raha hai
suna hai ab 'nasim' un ki zaban par
hamara nam paya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.