hansi nasib nahin hai KHushi nasib nahin
hansi nasib nahin hai KHushi nasib nahin
Ghulam Dastageer Sharar
MORE BYGhulam Dastageer Sharar
hañsī nasīb nahīñ hai ḳhushī nasīb nahīñ
vo jab se ruuTh ga.e zindagī nasīb nahīñ
har ek gul hai pareshāñ har ik kalī hai udaas
bahār meñ bhī unheñ tāzgī nasīb nahīñ
nazar ke sāmne hai un kā sañg-e-dar phir bhī
mirī jabīñ ko magar bandagī nasīb nahīñ
pilā rahā huuñ hazāroñ ko apne hāthoñ se
huuñ mai-kade meñ magar mai-kashī nasīb nahīñ
sukūn kahte haiñ kis ko qarār kyā shai hai
tumhāre baad mujhe ek bhī nasīb nahīñ
maiñ chāhtā huuñ 'sharar' tujh ko dekh luuñ ik baar
na jaane kyoñ tirā dīdār bhī nasīb nahīñ
hansi nasib nahin hai KHushi nasib nahin
wo jab se ruTh gae zindagi nasib nahin
har ek gul hai pareshan har ek kali hai udas
bahaar mein bhi unhen tazgi nasib nahin
nazar ke samne hai un ka sang-e-dar phir bhi
meri jabin ko magar bandagi nasib nahin
pila raha hun hazaron ko apne hathon se
hun mai-kade mein magar mai-kashi nasib nahin
sukun kahte hain kis ko qarar kya shai hai
tumhaare baad mujhe ek bhi nasib nahin
main chahta hun 'sharar' tujh ko dekh lun ek bar
na jaane kyon tera didar bhi nasib nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.