hansmukh aur ba-zahir koi aazar nahin hai
hañsmukh aur ba-zāhir koī āzār nahīñ hai
vo shā.ir hai duniyā se bezār nahīñ hai
apnī puurī koshish kar ke dekh chukā huuñ
us ko kho dene par dil tayyār nahīñ hai
sar Takrāyā to vo shaḳhs khulā hai mujh par
maiñ samjhā thā shāyad vo dīvār nahīñ hai
ā.inda bhī ho saktā hai pahle jaisā
dil par ek dabāv āḳhirī baar nahīñ hai
ho jaatī hai phislan bārish ke aate hī
rasta galī kā vaise bhī hamvār nahīñ hai
kamzorī aur bīmārī meñ farq hai 'shāhid'
dil kamzor hai thoḌā sā bīmār nahīñ hai
hansmukh aur ba-zahir koi aazar nahin hai
wo shair hai duniya se bezar nahin hai
apni puri koshish kar ke dekh chuka hun
us ko kho dene par dil tayyar nahin hai
sar Takraya to wo shaKHs khula hai mujh par
main samjha tha shayad wo diwar nahin hai
aainda bhi ho sakta hai pahle jaisa
dil par ek dabaw aaKHiri bar nahin hai
ho jati hai phislan barish ke aate hi
rasta gali ka waise bhi hamwar nahin hai
kamzori aur bimari mein farq hai 'shahid'
dil kamzor hai thoDa sa bimar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.