hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai
hañsne-hañsāne paḌhne-paḌhāne kī umr hai
ye umr kab hamāre kamāne kī umr hai
le aa.ī chhat pe kyuuñ mujhe be-vaqt kī ghuTan
terī to ḳhair baam pe aane kī umr hai
tujh se bichhaḌ ke bhī tujhe miltā rahūñgā maiñ
mujh se tavīl mere zamāne kī umr hai
aulād kī tarah hai mohabbat kā mujh pe haq
jab tak kisī kā bojh uThāne kī umr hai
ġhurbat ko kyuuñ na maiñ bhī sharārat kā naam duuñ
dīvār-o-dar pe phuul banāne kī umr hai
koī muzā.iqa nahīñ piirī ke ishq meñ
vaise bhī ye savāb kamāne kī umr hai
hansne-hansane paDhne-paDhane ki umr hai
ye umr kab hamare kamane ki umr hai
le aai chhat pe kyun mujhe be-waqt ki ghuTan
teri to KHair baam pe aane ki umr hai
tujh se bichhaD ke bhi tujhe milta rahunga main
mujh se tawil mere zamane ki umr hai
aulad ki tarah hai mohabbat ka mujh pe haq
jab tak kisi ka bojh uThane ki umr hai
ghurbat ko kyun na main bhi shararat ka nam dun
diwar-o-dar pe phul banane ki umr hai
koi muzaiqa nahin piri ke ishq mein
waise bhi ye sawab kamane ki umr hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.