hansne ka imkan nahin hai
Interesting Fact
(31 October 1963)
hañsne kā imkān nahīñ hai
ronā bhī āsān nahīñ hai
toḌ diyā dam ummīdoñ ne
ab koī armān nahīñ hai
shahr-e-ḳhamoshāñ se guzrā huuñ
ye bastī vīrān nahīñ hai
kaun hai jo dār-e-fānī meñ
do din kā mehmān nahīñ hai
hairat meñ hai dekhne vaalā
ā.īna hairān nahīñ hai
jaise chāhe bahlā liije
dil sā bhī nādān nahīñ hai
dukh denā āsān bahut hai
dukh sahnā āsān nahīñ hai
ulfat ḳhud unvān hai apnā
is kā kuchh unvān nahīñ hai
marne par kyā ho kyā jaane
ziist meñ itmīnān nahīñ hai
auroñ ke jo kaam na aa.e
kaam kā vo insān nahīñ hai
un kī razā par raazī rahnā
mushkil hai āsān nahīñ hai
apnā farz adā karte haiñ
kisī pe kuchh ehsān nahīñ hai
harf jab aatā ho izzat par
chup rahnā āsān nahīñ hai
turfa-tamāsha dekhā 'tālib'
hai bhī aur bhagvān nahīñ hai
hansne ka imkan nahin hai
rona bhi aasan nahin hai
toD diya dam ummidon ne
ab koi arman nahin hai
shahr-e-KHamoshan se guzra hun
ye basti viran nahin hai
kaun hai jo dar-e-fani mein
do din ka mehman nahin hai
hairat mein hai dekhne wala
aaina hairan nahin hai
jaise chahe bahla lije
dil sa bhi nadan nahin hai
dukh dena aasan bahut hai
dukh sahna aasan nahin hai
ulfat KHud unwan hai apna
is ka kuchh unwan nahin hai
marne par kya ho kya jaane
zist mein itminan nahin hai
auron ke jo kaam na aae
kaam ka wo insan nahin hai
un ki raza par raazi rahna
mushkil hai aasan nahin hai
apna farz ada karte hain
kisi pe kuchh ehsan nahin hai
harf jab aata ho izzat par
chup rahna aasan nahin hai
turfa-tamasha dekha 'talib'
hai bhi aur bhagwan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.