hanste chehre ka haal dekho na
hañste chehre kā haal dekho nā
koī merā rumāl dekho nā
hijr ke baa'd uTh rahe mujh par
kaise kaise savāl dekho nā
rang tujh par lagā nahīñ paayā
haath ko hai malāl dekho nā
TuuT ke phir yaqīn kartā huuñ
dekho merī majāl dekho nā
hanste chehre ka haal dekho na
koi mera rumal dekho na
hijr ke ba'd uTh rahe mujh par
kaise kaise sawal dekho na
rang tujh par laga nahin paya
hath ko hai malal dekho na
TuT ke phir yaqin karta hun
dekho meri majal dekho na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.