hanste hain phul na ghunche hi muskurae hain
hañste haiñ phuul na ġhunche hī muskurā.e haiñ
bahār meñ bhī chaman par ḳhizāñ ke saa.e haiñ
kamāl-e-himmat-e-ahl-e-junūñ ḳhudā rakkhe
ġham-e-hayāt ko ham ne gale lagā.e haiñ
ye ittifāq to dekho girī hai barq vahīñ
chaman meñ ham ne jahāñ āshiyāñ banā.e haiñ
samajh na ye ki amaañ mil ga.ī ġhamoñ se hameñ
vabā ke dard ko siine meñ muskurā.e haiñ
ye terī bāda-gusārī kī 'iid hai saaqī
hai fasl-e-gul sar-e-mai-ḳhāna abr chhā.e haiñ
baḌhī hai gardish-e-ayyām rahnumā.ī ko
rah-e-vafā meñ jo ham ne qadam baḌhā.e haiñ
hazār ḳhūn-e-tamannā huā magar ai dost
tire sitam kā gila kab zabāñ pe laa.e haiñ
gila nahīñ ġham-e-sabr-āzmā kā kuchh tujh se
ḳhushī se ham ne ye bār-e-alam uThā.e haiñ
hanste hain phul na ghunche hi muskurae hain
bahaar mein bhi chaman par KHizan ke sae hain
kamal-e-himmat-e-ahl-e-junun KHuda rakkhe
gham-e-hayat ko hum ne gale lagae hain
ye ittifaq to dekho giri hai barq wahin
chaman mein hum ne jahan aashiyan banae hain
samajh na ye ki aman mil gai ghamon se hamein
waba ke dard ko sine mein muskurae hain
ye teri baada-gusari ki 'id hai saqi
hai fasl-e-gul sar-e-mai-KHana abr chhae hain
baDhi hai gardish-e-ayyam rahnumai ko
rah-e-wafa mein jo hum ne qadam baDhae hain
hazar KHun-e-tamanna hua magar ai dost
tere sitam ka gila kab zaban pe lae hain
gila nahin gham-e-sabr-azma ka kuchh tujh se
KHushi se hum ne ye bar-e-alam uThae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.