hanste hue aksar mujhe mahsus hua hai
hañste hue aksar mujhe mahsūs huā hai
aa.ī hai yahīñ se kahīñ rone kī sadā bhī
kis shahr se lauTā hai ki ḳhud apne hī ghar meñ
rātoñ ko jalāte hue Dartā hai diyā bhī
jā baiThe samundar ke kināre kabhī tanhā
lahroñ kī sharārat se hue ḳhud hī ḳhafā bhī
har roz vahī shaam vahī nashsha vahī log
kuchh din ke liye yaañ se tabī'at ko haTā bhī
sūkhe hue peḌoñ meñ kahīñ aag chhupī thī
ab chheḌ ke pachhtātī hai jangal ko havā bhī
hanste hue aksar mujhe mahsus hua hai
aai hai yahin se kahin rone ki sada bhi
kis shahr se lauTa hai ki KHud apne hi ghar mein
raaton ko jalate hue Darta hai diya bhi
ja baiThe samundar ke kinare kabhi tanha
lahron ki shararat se hue KHud hi KHafa bhi
har roz wahi sham wahi nashsha wahi log
kuchh din ke liye yan se tabi'at ko haTa bhi
sukhe hue peDon mein kahin aag chhupi thi
ab chheD ke pachhtati hai jangal ko hawa bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.