hanut silsile rakkhe hue KHayalon ke
hanūt silsile rakkhe hue ḳhayāloñ ke
ajā.ibāt haiñ dil meñ parī jamāloñ ke
kahīñ ḳhamosh kahīñ gūñjte añdhere haiñ
bujhe charāġh haiñ mātam-kade ujāloñ ke
kahīñ pe aa.ine hairat ke intizār meñ haiñ
kahīñ pe sañg bhī rakkhe haiñ kuchh savāloñ ke
lipaT ke rotī huī chāñdnī chaTānoñ se
ki jin meñ rakkhe hue ḳhvāb haiñ vo jvāloñ ke
ajab haiñ dhuñd ke manzar shajar udaas udaas
kahīñ pe moḌ haiñ milne bichhaḌne vāloñ ke
hanut silsile rakkhe hue KHayalon ke
ajaibaat hain dil mein pari jamalon ke
kahin KHamosh kahin gunjte andhere hain
bujhe charagh hain matam-kade ujalon ke
kahin pe aaine hairat ke intizar mein hain
kahin pe sang bhi rakkhe hain kuchh sawalon ke
lipaT ke roti hui chandni chaTanon se
ki jin mein rakkhe hue KHwab hain wo jwalon ke
ajab hain dhund ke manzar shajar udas udas
kahin pe moD hain milne bichhaDne walon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.