hanuz zindagi-e-talKH ka maza na mila
hanūz zindagī-e-talḳh kā maza na milā
kamāl-e-sabr milā sabr-āzmā na milā
mirī bahār-o-ḳhizāñ jis ke iḳhtiyār meñ hai
mizāj us dil-e-be-iḳhtiyār kā na milā
havā ke dosh pe jaatā hai kārvān-e-nafas
adam kī raah meñ koī piyāda-pā na milā
bas ek nuqta-e-farzī kā naam hai ka.aba
kisī ko markaz-e-tahqīq kā pata na milā
umīd-o-bīm ne maarā mujhe do-rāhe par
kahāñ ke dair-o-haram ghar kā rāsta na milā
ba-juz irāda-parastī ḳhudā ko kyā jaane
vo bad-nasīb jise baḳht-e-nā-rasāna milā
nigāh-e-'yās' se sābit hai sa.i-e-lā-hāsil
ḳhudā kā zikr to kyā banda-e-ḳhudā na milā
hanuz zindagi-e-talKH ka maza na mila
kamal-e-sabr mila sabr-azma na mila
meri bahaar-o-KHizan jis ke iKHtiyar mein hai
mizaj us dil-e-be-iKHtiyar ka na mila
hawa ke dosh pe jata hai karwan-e-nafas
adam ki rah mein koi piyaada-pa na mila
bas ek nuqta-e-farzi ka nam hai kaba
kisi ko markaz-e-tahqiq ka pata na mila
umid-o-bim ne mara mujhe do-rahe par
kahan ke dair-o-haram ghar ka rasta na mila
ba-juz irada-parasti KHuda ko kya jaane
wo bad-nasib jise baKHt-e-na-rasana mila
nigah-e-'yas' se sabit hai sai-e-la-hasil
KHuda ka zikr to kya banda-e-KHuda na mila
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 85)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.