haq-bayani ki jo himmat hogi
haq-bayānī kī jo himmat hogī
tere jiine kī vo tāqat hogī
jab khaḌī sar pe musībat hogī
kaise pagḌī kī hifāzat hogī
mujh ko lagtā thā sabhī apne haiñ
kab ye sochā thā baġhāvat hogī
kuchh to apne pe bharosa rakkho
jā-ba-jā kis kī 'ināyat hogī
mujh se behtar to nahīñ hai lekin
har jagah us kī hī 'izzat hogī
sach kī āñkhoñ meñ to aañsū hoñge
jhuuT kah kar hī jo barkat hogī
vo to dekheñge karishma pahle
phir 'nazar' un se 'ibādat hogī
haq-bayani ki jo himmat hogi
tere jine ki wo taqat hogi
jab khaDi sar pe musibat hogi
kaise pagDi ki hifazat hogi
mujh ko lagta tha sabhi apne hain
kab ye socha tha baghawat hogi
kuchh to apne pe bharosa rakkho
ja-ba-ja kis ki 'inayat hogi
mujh se behtar to nahin hai lekin
har jagah us ki hi 'izzat hogi
sach ki aankhon mein to aansu honge
jhuT kah kar hi jo barkat hogi
wo to dekhenge karishma pahle
phir 'nazar' un se 'ibaadat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.