haq jatane ka bhi tujh mein hausla nahin raha
haq jatāne kā bhī tujh meñ hausla nahīñ rahā
ishq hī nahīñ rahā yā phir gila nahīñ rahā
terī yādeñ hī sabab hai merī is hañsī kā ab
ya.anī yādoñ meñ maiñ aañsū bhī milā nahīñ rahā
tujh meñ hī hai merī raushnī kā hal vagarna phir
ik sitāra huuñ to kyoñ maiñ jhilmilā nahīñ rahā
mutma.in hai bāġhbāñ bhī jaan kar ki baag meñ
phuul koī bhī hamesha hī khilā nahīñ rahā
ye ho saktā hai tujhe ujālā aise hī mile
kyā huā tujhe tū kyuuñ mujhe jalā nahīñ rahā
kuchh tirī tarah hī hai hisāb āsmān kā
fāsle se dekhtā hai par bulā nahīñ rahā
haq jatane ka bhi tujh mein hausla nahin raha
ishq hi nahin raha ya phir gila nahin raha
teri yaaden hi sabab hai meri is hansi ka ab
yani yaadon mein main aansu bhi mila nahin raha
tujh mein hi hai meri raushni ka hal wagarna phir
ek sitara hun to kyon main jhilmila nahin raha
mutmain hai baghban bhi jaan kar ki bag mein
phul koi bhi hamesha hi khila nahin raha
ye ho sakta hai tujhe ujala aise hi mile
kya hua tujhe tu kyun mujhe jala nahin raha
kuchh teri tarah hi hai hisab aasman ka
fasle se dekhta hai par bula nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.