haq ka parchaar kiye guzre payambar aksar
haq kā parchār kiye guzre payambar aksar
dil jo banjar the rahe duniyā meñ banjar aksar
jo mire sāmne paḌhte haiñ qasīde paiham
mere jaane pe uThāte haiñ vo ḳhanjar aksar
rut ḳhizāoñ kī ye hotī thī bahāroñ jaisī
ab guzar jaatā hai chup-chāp december aksar
ek muddat se mirī samt tū aaya na gayā
ḳhālī rahne se zamīñ hotī hai banjar aksar
tū mirī ek mulāqāt se qaa.il mat ho
duur se gahrā nahīñ lagtā samundar aksar
haq ka parchaar kiye guzre payambar aksar
dil jo banjar the rahe duniya mein banjar aksar
jo mere samne paDhte hain qaside paiham
mere jaane pe uThate hain wo KHanjar aksar
rut KHizaon ki ye hoti thi bahaaron jaisi
ab guzar jata hai chup-chap december aksar
ek muddat se meri samt tu aaya na gaya
KHali rahne se zamin hoti hai banjar aksar
tu meri ek mulaqat se qail mat ho
dur se gahra nahin lagta samundar aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.