haq-mehr kitna hoga bataya nahin gaya
haq-mehr kitnā hogā batāyā nahīñ gayā
shahzādiyoñ ko baam pe laayā nahīñ gayā
kamzor sī hadīs sunā dī ga.ī koī
insāf kā tarāzū uThāyā nahīñ gayā
maiñ apne saath saath huuñ vo apne saath saath
ham-zād aap ham ko banāyā nahīñ gayā
pyāle meñ pyaas aur darīche meñ chāñd thā
vo so rahā thā mujh se jagāyā nahīñ gayā
ik ḳhvāb dekhne meñ hī ham sarf ho ga.e
añgār zindagī kā jalāyā nahīñ gayā
har baar chhoḌ aatī huuñ dariyā meñ lahr ko
chullū meñ bhar ke mujh se uThāyā nahīñ gayā
haq-mehr kitna hoga bataya nahin gaya
shahzadiyon ko baam pe laya nahin gaya
kamzor si hadis suna di gai koi
insaf ka taraazu uThaya nahin gaya
main apne sath sath hun wo apne sath sath
ham-zad aap hum ko banaya nahin gaya
pyale mein pyas aur dariche mein chand tha
wo so raha tha mujh se jagaya nahin gaya
ek KHwab dekhne mein hi hum sarf ho gae
angar zindagi ka jalaya nahin gaya
har bar chhoD aati hun dariya mein lahr ko
chullu mein bhar ke mujh se uThaya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.