haq mein tere ai zist dua kar chuke hain hum
haq meñ tire ai ziist du'ā kar chuke haiñ ham
terā har ek qarz adā kar chuke haiñ ham
jiine ko jī rahe haiñ magar is tarah se ab
apne badan se jaañ ko rihā kar chuke haiñ ham
laayā usī ke paas hī phir se hameñ ye vaqt
jis se hazāroñ baar gila kar chuke haiñ ham
mushkil hai apne aap pe karnā yaqīn ab
ḳhud se bhī kitnī baar daġhā kar chuke haiñ ham
behtar hai us ke zikr pe ḳhāmosh hī raheñ
kis ne kiyā thā qatl pata kar chuke haiñ ham
ham ne kiyā qubūl 'adālat meñ shauq se
de do sazā-e-maut ḳhatā kar chuke haiñ ham
aate haiñ jitne kaam 'nazar' dost āj-kal
itnā to dushmanoñ kā bhalā kar chuke haiñ ham
haq mein tere ai zist du'a kar chuke hain hum
tera har ek qarz ada kar chuke hain hum
jine ko ji rahe hain magar is tarah se ab
apne badan se jaan ko riha kar chuke hain hum
laya usi ke pas hi phir se hamein ye waqt
jis se hazaron bar gila kar chuke hain hum
mushkil hai apne aap pe karna yaqin ab
KHud se bhi kitni bar dagha kar chuke hain hum
behtar hai us ke zikr pe KHamosh hi rahen
kis ne kiya tha qatl pata kar chuke hain hum
hum ne kiya qubul 'adalat mein shauq se
de do saza-e-maut KHata kar chuke hain hum
aate hain jitne kaam 'nazar' dost aaj-kal
itna to dushmanon ka bhala kar chuke hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.