Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haq-nawa jurat-e-izhaar tak aa pahunche hain

Shauq Asar Rampuri

haq-nawa jurat-e-izhaar tak aa pahunche hain

Shauq Asar Rampuri

MORE BYShauq Asar Rampuri

    haq-navā jur.at-e-iz.hār tak aa pahuñche haiñ

    hausle ab rasan-o-dār tak aa pahuñche haiñ

    shaiḳh sāhab bhī haiñ saaqī tire maiḳhāne meñ

    terī jannat meñ gunahgār tak aa pahuñche haiñ

    dard-e-dil mire afsāna haiñ vo do aañsū

    jo tire phuul se ruḳhsār tak aa pahuñche haiñ

    in bayānoñ se mirā koī ta.alluq nahīñ

    jo mire naam se aḳhbār tak aa pahuñche haiñ

    amn-e-ālam duā ke liye jo uThte the

    aaj vo haath bhī talvār tak aa pahuñche haiñ

    hal nikal aayā hai gumrāhī-e-dil jab se

    ġham zamāne ke ġham-e-yār tak aa pahuñche haiñ

    dekhiye un ko chaman meñ nazar aa.e kyā kyā

    'shauq' jo nargis-e-bīmār tak aa pahuñche haiñ

    haq-nawa jurat-e-izhaar tak aa pahunche hain

    hausle ab rasan-o-dar tak aa pahunche hain

    shaiKH sahab bhi hain saqi tere maiKHane mein

    teri jannat mein gunahgar tak aa pahunche hain

    dard-e-dil ka mere afsana hain wo do aansu

    jo tere phul se ruKHsar tak aa pahunche hain

    in bayanon se mera koi talluq hi nahin

    jo mere nam se aKHbar tak aa pahunche hain

    amn-e-alam ki dua ke liye jo uThte the

    aaj wo hath bhi talwar tak aa pahunche hain

    hal nikal aaya hai gumrahi-e-dil ka jab se

    gham zamane ke gham-e-yar tak aa pahunche hain

    dekhiye un ko chaman mein nazar aae kya kya

    'shauq' jo nargis-e-bimar tak aa pahunche hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now