haq-parasti ke saza-war hua karte the
haq-parastī ke sazā-vār huā karte the
ham kabhī sāhab-e-kirdār huā karte the
koī maz.hab ho koī rañg ho mil baiThte the
des meñ aise bhī tehvār huā karte the
pās-e-tahzīb thā ik vo bhī zamāna thā kabhī
mere dushman bhī mire yaar huā karte the
is tarah thak ke to baiThā nahīñ karte the ham
rāste pahle bhī dushvār huā karte the
ab to sūkhe hue pattoñ kā bharam rakhte haiñ
ham kabhī shāḳh-e-samar-dār huā karte the
pagḌiyāñ qadmoñ meñ rakhne kā hunar siikh ga.e
ham vahī haiñ jo sar-e-dār huā karte the
haq-parasti ke saza-war hua karte the
hum kabhi sahab-e-kirdar hua karte the
koi mazhab ho koi rang ho mil baiThte the
des mein aise bhi tehwar hua karte the
pas-e-tahzib tha ek wo bhi zamana tha kabhi
mere dushman bhi mere yar hua karte the
is tarah thak ke to baiTha nahin karte the hum
raste pahle bhi dushwar hua karte the
ab to sukhe hue patton ka bharam rakhte hain
hum kabhi shaKH-e-samar-dar hua karte the
pagDiyan qadmon mein rakhne ka hunar sikh gae
hum wahi hain jo sar-e-dar hua karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.