haq tere gham ka kuchh is tarah ada ho jae
haq tire ġham kā kuchh is tarah adā ho jaa.e
aah bhī aa.e laboñ par to duā ho jaa.e
dekh kar jis ko naqāboñ meñ bhī ḳhīra hai nazar
vo agar sāmne aa jaa.e to kyā ho jaa.e
mujh ko Dar hai ki tirī hashr-ḳhirāmī ke tufail
vaqt se pahle qayāmat na bapā ho jaa.e
apne chehre pe nigāheñ nahīñ uThtīñ us kī
maiñ jo ā.īna dikhā.ūñ to ḳhafā ho jaa.e
aa ke bas jaa.e jo us but kī mohabbat dil meñ
dil mirā qibla-e-arbāb-e-vafā ho jaa.e
maqsad-e-ishq farāmosh na ho jaa.e kahīñ
aap kā lutf agar had se sivā ho jaa.e
ham ko ma.alūm hai fir.aun kā anjām 'majīd'
koī chāhe to ba-sad-shauq ḳhudā ho jaa.e
haq tere gham ka kuchh is tarah ada ho jae
aah bhi aae labon par to dua ho jae
dekh kar jis ko naqabon mein bhi KHira hai nazar
wo agar samne aa jae to kya ho jae
mujh ko Dar hai ki teri hashr-KHirami ke tufail
waqt se pahle qayamat na bapa ho jae
apne chehre pe nigahen nahin uThtin us ki
main jo aaina dikhaun to KHafa ho jae
aa ke bas jae jo us but ki mohabbat dil mein
dil mera qibla-e-arbab-e-wafa ho jae
maqsad-e-ishq faramosh na ho jae kahin
aap ka lutf agar had se siwa ho jae
hum ko malum hai firaun ka anjam 'majid'
koi chahe to ba-sad-shauq KHuda ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.