haqiqat apni bas itni hi jaanta hun main
haqīqat apnī bas itnī hī jāntā huuñ maiñ
jo tai huā na kisī se vo marhalā huuñ maiñ
figār qalb-o-jigar haiñ to ḳhūñ-chakāñ āñkheñ
huā ye haal magar phir bhī be-vafā huuñ maiñ
na kar muġhannī-e-nādāñ fuzūl zaḳhma-zanī
shikasta-sāz huuñ fariyād-e-be-sadā huuñ maiñ
atā vo hosh-rubā mai ho chashm-e-mai-gūñ se
koī ye kah na sake phir ki pārsā huuñ maiñ
ye ḳhūn-e-dil se chaman sīñchne kā ajr milā
nigāh-e-ahl-e-chaman meñ khaTak rahā huuñ maiñ
hasīn ḳhvāb dikhā kar fareb-e-lutf na de
hasīn ḳhvāboñ kī ta.abīr jāntā huuñ maiñ
vo jāñ-gusil hī sahī phir bhī hai ġham-e-jānāñ
na pochhiye jo maza is meñ pā rahā huuñ maiñ
milī bhī chashm-e-haqīqat-nigar to kyā hāsil
zabāñ pe lā nahīñ saktā jo dekhtā huuñ maiñ
haqiqat apni bas itni hi jaanta hun main
jo tai hua na kisi se wo marhala hun main
figar qalb-o-jigar hain to KHun-chakan aankhen
hua ye haal magar phir bhi be-wafa hun main
na kar mughanni-e-nadan fuzul zaKHma-zani
shikasta-saz hun fariyaad-e-be-sada hun main
ata wo hosh-ruba mai ho chashm-e-mai-gun se
koi ye kah na sake phir ki parsa hun main
ye KHun-e-dil se chaman sinchne ka ajr mila
nigah-e-ahl-e-chaman mein khaTak raha hun main
hasin KHwab dikha kar fareb-e-lutf na de
hasin KHwabon ki tabir jaanta hun main
wo jaan-gusil hi sahi phir bhi hai gham-e-jaanan
na pochhiye jo maza is mein pa raha hun main
mili bhi chashm-e-haqiqat-nigar to kya hasil
zaban pe la nahin sakta jo dekhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.