haqiqat ban gai KHud hi hijab aahista aahista
haqīqat ban ga.ī ḳhud hī hijāb āhista āhista
nazar ko le marā zauq-e-sarāb āhista āhista
taḌap paidā to kar dil meñ ruḳh-e-zebā ke saudā.ī
sarak jā.egā ḳhud un kā naqāb āhista āhista
salīqa aa gayā hai shaiḳh ko bhī hosh-mandī kā
lagā hai māñgne jām-e-sharāb āhista āhista
jahān-e-āb-o-gil bhī dekhne kī chiiz thī lekin
bashar ne kar diyā us ko ḳharāb āhista āhista
koī din ke haiñ jalve mastiyāñ bhar do fazāoñ meñ
guzar jā.egā ye ahd-e-shabāb āhista āhista
bashar ab rokne ko hai mah-o-anjum kī gardish ko
ye dekhegā ḳhudā.ī ke bhī ḳhvāb āhista āhista
ye rūdād-e-mohabbat hai ise kahnā tahammul se
sunā jā.egā ai 'sābir' ye baab āhista āhista
haqiqat ban gai KHud hi hijab aahista aahista
nazar ko le mara zauq-e-sarab aahista aahista
taDap paida to kar dil mein ruKH-e-zeba ke saudai
sarak jaega KHud un ka naqab aahista aahista
saliqa aa gaya hai shaiKH ko bhi hosh-mandi ka
laga hai mangne jam-e-sharab aahista aahista
jahan-e-ab-o-gil bhi dekhne ki chiz thi lekin
bashar ne kar diya us ko KHarab aahista aahista
koi din ke hain jalwe mastiyan bhar do fazaon mein
guzar jaega ye ahd-e-shabab aahista aahista
bashar ab rokne ko hai mah-o-anjum ki gardish ko
ye dekhega KHudai ke bhi KHwab aahista aahista
ye rudad-e-mohabbat hai ise kahna tahammul se
suna jaega ai 'sabir' ye bab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.