haqiqat hai koi dhoka nahin hai
haqīqat hai koī dhokā nahīñ hai
nazar aatā hai vo hotā nahīñ hai
bhalā hotā nahīñ kyā kyā jahāñ meñ
magar jo chāhiye hotā nahīñ hai
kisī ko āzmānā chhoḌ denā
abhī ye 'ilm bhī sīkhā nahīñ hai
du'ā.eñ dushmanoñ ko bāñTtā huuñ
abhī dil hī mirā dekhā nahīñ hai
haqiqat hai koi dhoka nahin hai
nazar aata hai wo hota nahin hai
bhala hota nahin kya kya jahan mein
magar jo chahiye hota nahin hai
kisi ko aazmana chhoD dena
abhi ye 'ilm bhi sikha nahin hai
du'aen dushmanon ko banTta hun
abhi dil hi mera dekha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.