haqiqat ka agar afsana ban jae to kya kije
haqīqat kā agar afsāna ban jaa.e to kyā kiije
gale mil kar bhī vo begāna ban jaa.e to kyā kiije
hameñ sau baar tark-e-mai-kashī manzūr hai lekin
nazar us kī agar mai-ḳhāna ban jaa.e to kyā kiije
nazar aatā hai sajde meñ jo aksar shaiḳh sāhab ko
vo jalva jalva-e-jānāna ban jaa.e to kyā kiije
tire milne se jo mujh ko hamesha manā kartā hai
agar vo bhī tirā dīvāna ban jaa.e to kyā kiije
ḳhudā kā ghar samajh rakkhā hai ab tak ham ne jis dil ko
'qatīl' is meñ bhī ik but-ḳhāna ban jaa.e to kyā kiije
haqiqat ka agar afsana ban jae to kya kije
gale mil kar bhi wo begana ban jae to kya kije
hamein sau bar tark-e-mai-kashi manzur hai lekin
nazar us ki agar mai-KHana ban jae to kya kije
nazar aata hai sajde mein jo aksar shaiKH sahab ko
wo jalwa jalwa-e-jaanana ban jae to kya kije
tere milne se jo mujh ko hamesha mana karta hai
agar wo bhi tera diwana ban jae to kya kije
KHuda ka ghar samajh rakkha hai ab tak hum ne jis dil ko
'qatil' is mein bhi ek but-KHana ban jae to kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.