haqiqat ke ab tak parastar hain hum
haqīqat ke ab tak parastār haiñ ham
jo biktā nahīñ aisā aḳhbār haiñ ham
hamārā fasāna haqīqat pe mabnī
mukammal mohabbat kā kirdār haiñ ham
agar hausla dil kā niklā nahīñ ho
ḳhudā kī qasam ab bhī tayyār haiñ ham
abhī tak jidhar se na guzrā ho koī
usī rah-guzar ke talabgār haiñ ham
zamāne ne kyā kyā fasāne banā.e
bas ik lafz un ke gunahgār haiñ ham
vo kis haal meñ hogā ham kis se pūchheñ
ḳhud apne masā.il se do-chār haiñ ham
jo haiñ dostoñ ke liye nik.hat-e-gul
to dushman ke siine pe talvār haiñ ham
abhī ham ne hathiyār Daale nahīñ haiñ
abhī tak qabīle ke sardār haiñ ham
'atīq' apnī ḳhuddāriyāñ roktī haiñ
ḳhud apne hī raste kī dīvār haiñ ham
haqiqat ke ab tak parastar hain hum
jo bikta nahin aisa aKHbar hain hum
hamara fasana haqiqat pe mabni
mukammal mohabbat ka kirdar hain hum
agar hausla dil ka nikla nahin ho
KHuda ki qasam ab bhi tayyar hain hum
abhi tak jidhar se na guzra ho koi
usi rah-guzar ke talabgar hain hum
zamane ne kya kya fasane banae
bas ek lafz un ke gunahgar hain hum
wo kis haal mein hoga hum kis se puchhen
KHud apne masail se do-chaar hain hum
jo hain doston ke liye nikhat-e-gul
to dushman ke sine pe talwar hain hum
abhi hum ne hathiyar Dale nahin hain
abhi tak qabile ke sardar hain hum
'atiq' apni KHuddariyan rokti hain
KHud apne hi raste ki diwar hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.