haqiqat ki meri tumhin raaz-dan ho
haqīqat kī merī tumhīñ rāz-dāñ ho
maiñ ik TuuTā taara huuñ tum kahkashāñ ho
mujhe sirf ḳhāmoshiyāñ haiñ mayassar
mirī ḳhvāhishoñ kī tumhīñ to zabāñ ho
maiñ bikhre se lafzoñ kā huuñ ik zaḳhīra
ma'ānī tumhīñ aur tumhīñ dāstāñ ho
'ajab hai ki ham hī tumheñ DhūñDte haiñ
hameñ DhūñD kar ab batāo kahāñ ho
na āġhāz ho aur na anjām hī tum
kahānī meñ bas darmiyāñ darmiyāñ ho
haqiqat ki meri tumhin raaz-dan ho
main ek TuTa tara hun tum kahkashan ho
mujhe sirf KHamoshiyan hain mayassar
meri KHwahishon ki tumhin to zaban ho
main bikhre se lafzon ka hun ek zaKHira
ma'ani tumhin aur tumhin dastan ho
'ajab hai ki hum hi tumhein DhunDte hain
hamein DhunD kar ab batao kahan ho
na aaghaz ho aur na anjam hi tum
kahani mein bas darmiyan darmiyan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.