haqiqat ko ajab andaz se jhuThlaya jata hai
haqīqat ko ajab andāz se jhuThlāyā jaatā hai
zamāne ko ḳhudā ke naam par bahkāyā jaatā hai
ta.alluq rahnumā kā muflis-o-nādār se kaisā
unheñ voToñ kī ḳhātir vaqt par phuslāya jaatā hai
kahīñ merī sharāfat ko na kamzorī samajh baiThe
kabhī dushman ko bhī is vāste dhamkāyā jaatā hai
agarche har na.e din kā nayā andāz hai lekin
kabhī afsāna-e-pārīna bhī dohrāyā jaatā hai
agar jazbāt zaḳhmī hoñ to hogā fikr bhī zaḳhmī
yahī tārīḳh ke aurāq meñ bhī paayā jaatā hai
ye rutba har kisī ko kū-e-jānāñ meñ nahīñ miltā
koī mansūr ho to daar par laTkāyā jaatā hai
haqiqat ko ajab andaz se jhuThlaya jata hai
zamane ko KHuda ke nam par bahkaya jata hai
talluq rahnuma ka muflis-o-nadar se kaisa
unhen woTon ki KHatir waqt par phuslaya jata hai
kahin meri sharafat ko na kamzori samajh baiThe
kabhi dushman ko bhi is waste dhamkaya jata hai
agarche har nae din ka naya andaz hai lekin
kabhi afsana-e-parina bhi dohraya jata hai
agar jazbaat zaKHmi hon to hoga fikr bhi zaKHmi
yahi tariKH ke auraq mein bhi paya jata hai
ye rutba har kisi ko ku-e-jaanan mein nahin milta
koi mansur ho to dar par laTkaya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.