haqiqat kya bataun zindagi ki
haqīqat kyā batā.ūñ zindagī kī
use lat paḌ ga.ī hai aadmī kī
ye ghar meñ saa.eñ saa.eñ sun rahe ho
yahī āvāz to hai ḳhāmushī kī
mire qadmoñ meñ gir kar vaqt royā
suuī ulTī ghumā.ī jab ghaḌī kī
kabhī bāhar jo nikle paañv mere
to ghuTne moḌ kar chādar baḌī kī
mujhe jab DhūñDne koī na aayā
to maiñ ne ḳhud hī apnī muḳhbirī kī
sunā hai qais ne sahrā se aa kar
misāleñ diiñ mirī dīvāngī kī
haqiqat kya bataun zindagi ki
use lat paD gai hai aadmi ki
ye ghar mein saen saen sun rahe ho
yahi aawaz to hai KHamushi ki
mere qadmon mein gir kar waqt roya
sui ulTi ghumai jab ghaDi ki
kabhi bahar jo nikle panw mere
to ghuTne moD kar chadar baDi ki
mujhe jab DhunDne koi na aaya
to main ne KHud hi apni muKHbiri ki
suna hai qais ne sahra se aa kar
misalen din meri diwangi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.