haqiqat mein majazi ishq ka yun rang bharta hun
haqiqat mein majazi ishq ka yun rang bharta hun
Hamid Husain Hamid
MORE BYHamid Husain Hamid
haqīqat meñ majāzī ishq kā yuuñ rang bhartā huuñ
ḳhudā kā naam le le kar butoñ kī chaah kartā huuñ
hasīñ milte nahīñ phir bhī havas milne kī kartā huuñ
ye qadr-e-zindagī kartā huuñ nā-qadroñ pe martā huuñ
vufūr-e-zof meñ kyā ḳhaak āh-e-sard bhartā huuñ
kalejā thaam letā huuñ to koī baat kartā huuñ
talāsh-e-dil meñ jab maiñ kū-e-jānāñ se guzartā huuñ
to ik ik zarre ko jhuk jhuk ke lākhoñ sajde kartā tuuñ
karo bhī imtihāñ merā abhī sar nazr kartā huuñ
Darāo aur ko tum maiñ kahāñ marne se Dartā huuñ
bulātā huuñ kabhī un ko talab un ko jo kartā huuñ
to kahte haiñ abhī aatā huuñ bantā huuñ sañvartā huuñ
tumhīñ jāñcho tumhīñ dekho tumhīñ socho tumhīñ samjho
mukarte ho qasam khā khā ke tum yā maiñ mukartā huuñ
bharosā kyā sabāt-e-zindagī kā bahr-e-hastī meñ
habāboñ kī tarah maiñ TūTtā huuñ jab ubhartā huuñ
asar lutf-o-ġhazab meñ tere aisā hai ki har āshiq
kabhī kahtā hai jiitā huuñ kabhī kahtā hai martā huuñ
nazar aatā hai ik parde meñ jalva donoñ aalam kā
mai-e-vahdat se jām-e-ma.arifat ko apne bhartā huuñ
tujhe pā.ūñ to sar par rakkhūñ āñkhoñ par biThā.ūñ maiñ
tasavvur meñ yahī baiThā ḳhayālī naqsh bhartā huuñ
na maiñ ne kuchh kahā tum se na tum ne kuchh kahā ham se
yahī hasrat liye maiñ aaj duniyā se guzartā huuñ
agar baa.is koī marne kā hotā to na ġham hotā
magar afsos is kā hai ki maiñ be-maut martā huuñ
nahīñ kuchh pursish-e-mahshar kā ġham haañ un se khaTkā hai
qayāmat se nahīñ Dartā tirī chāloñ se Dartā huuñ
ma.āl-e-kār par ishq-o-mohabbat meñ nazar kaisī
jo kuchh karnā mujhe hotā hai us ko kar guzartā huuñ
samajhtā huuñ ki jiite jī huā firdaus meñ dāḳhil
tire kūche meñ chalte phirte jab aa kar Thahartā huuñ
liyā sayyād se Dar kar jo qasd uḌne kā bulbul ne
kahā dast-e-muqaddar ne Thahar maiñ par katartā huuñ
ma.āl-e-ishq ai 'hāmid' jo kuchh honā thā hotā hai
butoñ ke jabr sahtā huuñ ḳhudā kā shukr kartā huuñ
haqiqat mein majazi ishq ka yun rang bharta hun
KHuda ka nam le le kar buton ki chah karta hun
hasin milte nahin phir bhi hawas milne ki karta hun
ye qadr-e-zindagi karta hun na-qadron pe marta hun
wufur-e-zof mein kya KHak aah-e-sard bharta hun
kaleja tham leta hun to koi baat karta hun
talash-e-dil mein jab main ku-e-jaanan se guzarta hun
to ek ek zarre ko jhuk jhuk ke lakhon sajde karta tun
karo bhi imtihan mera abhi sar nazr karta hun
Darao aur ko tum main kahan marne se Darta hun
bulata hun kabhi un ko talab un ko jo karta hun
to kahte hain abhi aata hun banta hun sanwarta hun
tumhin jaancho tumhin dekho tumhin socho tumhin samjho
mukarte ho qasam kha kha ke tum ya main mukarta hun
bharosa kya sabaat-e-zindagi ka bahr-e-hasti mein
hababon ki tarah main TuTta hun jab ubharta hun
asar lutf-o-ghazab mein tere aisa hai ki har aashiq
kabhi kahta hai jita hun kabhi kahta hai marta hun
nazar aata hai ek parde mein jalwa donon aalam ka
mai-e-wahdat se jam-e-marifat ko apne bharta hun
tujhe paun to sar par rakkhun aankhon par biThaun main
tasawwur mein yahi baiTha KHayali naqsh bharta hun
na main ne kuchh kaha tum se na tum ne kuchh kaha hum se
yahi hasrat liye main aaj duniya se guzarta hun
agar bais koi marne ka hota to na gham hota
magar afsos is ka hai ki main be-maut marta hun
nahin kuchh pursish-e-mahshar ka gham han un se khaTka hai
qayamat se nahin Darta teri chaalon se Darta hun
maal-e-kar par ishq-o-mohabbat mein nazar kaisi
jo kuchh karna mujhe hota hai us ko kar guzarta hun
samajhta hun ki jite ji hua firdaus mein daKHil
tere kuche mein chalte phirte jab aa kar Thaharta hun
liya sayyaad se Dar kar jo qasd uDne ka bulbul ne
kaha dast-e-muqaddar ne Thahar main par katarta hun
maal-e-ishq ai 'hamid' jo kuchh hona tha hota hai
buton ke jabr sahta hun KHuda ka shukr karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.