haqiqat mein mare hain kuchh kahani mein mare hain
haqiqat mein mare hain kuchh kahani mein mare hain
Abdul Mannan Samadi
MORE BYAbdul Mannan Samadi
haqīqat meñ mare haiñ kuchh kahānī meñ mare haiñ
magar sab ḳhvāb ulfat ke javānī meñ mare haiñ
parinde sab nahīñ zindān meñ maare ga.e haiñ
qafas meñ kuchh to kuchh naql-e-makānī meñ mare haiñ
milī hai maut kuchh ḳhāmosh rahne ke sabab bhī
magar kuchh log to sho.ala-bayānī meñ mare haiñ
jahāñ kuchh log merī bad-zabānī se pareshāñ
vahīñ kuchh log merī be-zabānī meñ mare haiñ
hamārī tum faqat ātish-bayānī se ḳhafā ho
magar ham to tumhārī bad-gumānī meñ mare haiñ
haqiqat mein mare hain kuchh kahani mein mare hain
magar sab KHwab ulfat ke jawani mein mare hain
parinde sab nahin zindan mein mare gae hain
qafas mein kuchh to kuchh naql-e-makani mein mare hain
mili hai maut kuchh KHamosh rahne ke sabab bhi
magar kuchh log to shoala-bayani mein mare hain
jahan kuchh log meri bad-zabani se pareshan
wahin kuchh log meri be-zabani mein mare hain
hamari tum faqat aatish-bayani se KHafa ho
magar hum to tumhaari bad-gumani mein mare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.