haqiqat nihan thi ayan ho gai hai
haqīqat nihāñ thī ayaañ ho ga.ī hai
umīdoñ kī duniyā javāñ ho ga.ī hai
tirī justujū meñ ye majbūr hastī
miTī is tarah be nishāñ ho ga.ī hai
jahāñ maiñ ne sajde meñ sar ko jhukāyā
vo manzil tirā āstāñ ho ga.ī hai
guloñ ne churā.ī havā ne uḌaa.ī
zabāñ-zad mirī dāstāñ ho ga.ī hai
'sadaf' maiñ kahūñ kyā kisī se karūñ kyā
mirī hī nazar bad-gumāñ ho ga.ī hai
haqiqat nihan thi ayan ho gai hai
umidon ki duniya jawan ho gai hai
teri justuju mein ye majbur hasti
miTi is tarah be nishan ho gai hai
jahan main ne sajde mein sar ko jhukaya
wo manzil tera aastan ho gai hai
gulon ne churai hawa ne uDai
zaban-zad meri dastan ho gai hai
'sadaf' main kahun kya kisi se karun kya
meri hi nazar bad-guman ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.