Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haqiqat to ye hai yawar agar taqdir hoti hai

Mehdi Machli Shahri

haqiqat to ye hai yawar agar taqdir hoti hai

Mehdi Machli Shahri

MORE BYMehdi Machli Shahri

    haqīqat to ye hai yāvar agar taqdīr hotī hai

    to har mushkil meñ paidā ik na ik tadbīr hotī hai

    nikaltī hai jo dil se aah vo iksīr hotī hai

    duā-e-sub.h-gāhī meñ ajab tāsīr hotī hai

    shab-e-va.ada tire aane meñ jab tāḳhīr hotī hai

    hamārī har nazar ik yaas tasvīr hotī hai

    hameñ kyoñ manā kartā hai vaa.iz but-parastī se

    sanam-ḳhāne meñ ka.abe bhī ta.amīr hotī hai

    kisī shān-e-rahmat kah ga.ī merī nadāmat se

    jo bande haiñ unhīñ se asl meñ taqsīr hotī hai

    sharīk-e-shām-e-tanhā.ī nahīñ hotā agar koī

    mirī āñkhoñ meñ dil meñ tirī tasvīr hotī hai

    ḳhatā.eñ hotī rahtī haiñ nazar-andāz ġhairoñ

    mirī har be-gunāhī qābil-e-tāzīr hotī hai

    faqat hai dasht-paimā.ī se matlab chārāgar ham ko

    kahīñ ham vahshiyoñ ke paañv meñ zanjīr hotī hai

    atā kar aise naale jo tire dar tak pahuñch jaa.eñ

    hameñ vo aah de jis aah meñ tāsīr hotī hai

    mirī mayyat naqsha khīñchne do mere madfan meñ

    yahī to zindagī āḳhirī tasvīr hotī hai

    hamārī aañkh laa.e tāb-e-jalva kis tarah 'mehdī'

    nazar uThtī hai jo vo chādar-e-tanvīr hotī hai

    haqiqat to ye hai yawar agar taqdir hoti hai

    to har mushkil mein paida ek na ek tadbir hoti hai

    nikalti hai jo dil se aah wo iksir hoti hai

    dua-e-subh-gahi mein ajab tasir hoti hai

    shab-e-wada tere aane mein jab taKHir hoti hai

    hamari har nazar ek yas ki taswir hoti hai

    hamein kyon mana karta hai tu waiz but-parasti se

    sanam-KHane hi mein kabe ki bhi tamir hoti hai

    kisi ki shan-e-rahmat kah gai meri nadamat se

    jo bande hain unhin se asl mein taqsir hoti hai

    sharik-e-sham-e-tanhai nahin hota agar koi

    meri aankhon mein tu dil mein teri taswir hoti hai

    KHataen hoti rahti hain nazar-andaz ghairon ki

    meri har be-gunahi qabil-e-tazir hoti hai

    faqat hai dasht-paimai se matlab chaaragar hum ko

    kahin hum wahshiyon ke panw mein zanjir hoti hai

    ata kar aise nale jo tere dar tak pahunch jaen

    hamein wo aah de jis aah mein tasir hoti hai

    meri mayyat ka naqsha khinchne do mere madfan mein

    yahi to zindagi ki aaKHiri taswir hoti hai

    hamari aankh lae tab-e-jalwa kis tarah 'mehdi'

    nazar uThti hai jo wo chadar-e-tanwir hoti hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now