haqiqaten hon mayassar to KHwab kyun dekhun
haqīqateñ hoñ mayassar to ḳhvāb kyuuñ dekhūñ
maiñ tishnagī meñ bhī samt-e-sarāb kyuuñ dekhūñ
tamām-umr guzarnī hai jab añdheroñ meñ
to ek shab ke liye māhtāb kyuuñ dekhūñ
mire makān ke darvāze band rahne do
maiñ apnī aañkh se mausam ḳharāb kyuuñ dekhūñ
varaq varaq tire dil kī kitāb raushan ho
to chehra chehra nayā intisāb kyuuñ dekhūñ
jo Dūbnā hai to sail-e-azāb meñ Dūbūñ
fusūn-e-mauj-o-tilism-e-habāb kyuuñ dekhūñ
haqiqaten hon mayassar to KHwab kyun dekhun
main tishnagi mein bhi samt-e-sarab kyun dekhun
tamam-umr guzarni hai jab andheron mein
to ek shab ke liye mahtab kyun dekhun
mere makan ke darwaze band rahne do
main apni aankh se mausam KHarab kyun dekhun
waraq waraq tere dil ki kitab raushan ho
to chehra chehra naya intisab kyun dekhun
jo Dubna hai to sail-e-azab mein Dubun
fusun-e-mauj-o-tilism-e-habab kyun dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.