haqiqaton ka bhi irfan ho soz-e-jaan bhi rahe
haqīqatoñ kā bhī irfāñ ho soz-e-jāñ bhī rahe
ḳhalā meñ bhī ho qadam sar pe āsmāñ bhī rahe
ye gar samajhnā hai yārān-e-sāf-go se mujhe
zabāñ pe baat bhī ho dil kī aur zabāñ bhī rahe
mohabbatoñ ke ye pahlū haiñ kuchh tazād nahīñ
ki e'tibār bhī kāmil thā bad-gumāñ bhī rahe
kisī kisī ko hī hāsil hai ye qarīna-e-zīst
ki barq-e-ishq bhī ho aur āshiyāñ bhī rahe
ye ehtimām ḳhirad se bahut ba.iid nahīñ
ki rāhzan bhī rahe ḳhud hī pāsbāñ bhī rahe
haqiqaton ka bhi irfan ho soz-e-jaan bhi rahe
KHala mein bhi ho qadam sar pe aasman bhi rahe
ye gar samajhna hai yaran-e-saf-go se mujhe
zaban pe baat bhi ho dil ki aur zaban bhi rahe
mohabbaton ke ye pahlu hain kuchh tazad nahin
ki e'tibar bhi kaamil tha bad-guman bhi rahe
kisi kisi ko hi hasil hai ye qarina-e-zist
ki barq-e-ishq bhi ho aur aashiyan bhi rahe
ye ehtimam KHirad se bahut baid nahin
ki rahzan bhi rahe KHud hi pasban bhi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.