haqiqaton ke mumasil majaz karta nahin
haqīqatoñ ke mumāsil majāz kartā nahīñ
maiñ be-javāz kabhī e'tirāz kartā nahīñ
mujhe ḳhabar hai muqaddar ke isti.āre kī
maiñ apne dast-e-talab ko darāz kartā nahīñ
har ek ġhair se kahtā hai vasf saare mire
magar vo shaḳhs ki ḳhud mujh pe naaz kartā nahīñ
kuchh aise lafz haiñ jo lauh-e-dil pe likhtā huuñ
har ek sher supurd-e-bayāz kartā nahīñ
ik aa.ina sā mire rū-ba-rū jo rahtā hai
maiñ rāzdār se rāz-o-niyāz kartā nahīñ
jo dil na chāhe to jhuktī nahīñ jabīñ merī
gunāhgār huuñ rashk-e-namāz kartā nahīñ
shab-e-siyāh ko 'safdar' shab-e-siyāh kahā
maiñ be-lihāz ḳhud apnā lihāz kartā nahīñ
haqiqaton ke mumasil majaz karta nahin
main be-jawaz kabhi e'tiraaz karta nahin
mujhe KHabar hai muqaddar ke istiare ki
main apne dast-e-talab ko daraaz karta nahin
har ek ghair se kahta hai wasf sare mere
magar wo shaKHs ki KHud mujh pe naz karta nahin
kuchh aise lafz hain jo lauh-e-dil pe likhta hun
har ek sher supurd-e-bayaz karta nahin
ek aaina sa mere ru-ba-ru jo rahta hai
main raazdar se raaz-o-niyaz karta nahin
jo dil na chahe to jhukti nahin jabin meri
gunahgar hun rashk-e-namaz karta nahin
shab-e-siyah ko 'safdar' shab-e-siyah kaha
main be-lihaz KHud apna lihaz karta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.