haqiqaton ki talab hai abhi majaz mein hun
haqīqatoñ kī talab hai abhī majāz meñ huuñ
zamāna biit gayā hālat-e-namāz meñ huuñ
merī talāsh adhūrī kahīñ na rah jaa.e
kabhī nasheb meñ huuñ aur kabhī farāz meñ huuñ
gudāz dard kā fitrat maiñ le ke aayā huuñ
kisī ke soz meñ huuñ aur kisī ke saaz meñ huuñ
nazar uThā ke zarā dekh mujh ko bhī saaqī
savāliyoñ kī tarah terī bazm-e-nāz meñ huuñ
iram se garche nikālā gayā maiñ insāñ huuñ
maiñ ab bhī tere farishtoñ kī sāz-bāz meñ huuñ
kisī ne khojā nahīñ mujh ko is tarah 'zebā'
ḳhudī ke sirr meñ huuñ be-ḳhudī ke raaz meñ huuñ
haqiqaton ki talab hai abhi majaz mein hun
zamana bit gaya haalat-e-namaz mein hun
meri talash adhuri kahin na rah jae
kabhi nasheb mein hun aur kabhi faraaz mein hun
gudaz dard ka fitrat main le ke aaya hun
kisi ke soz mein hun aur kisi ke saz mein hun
nazar uTha ke zara dekh mujh ko bhi saqi
sawaliyon ki tarah teri bazm-e-naz mein hun
iram se garche nikala gaya main insan hun
main ab bhi tere farishton ki saz-baz mein hun
kisi ne khoja nahin mujh ko is tarah 'zeba'
KHudi ke sirr mein hun be-KHudi ke raaz mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.