haqiqaton ko yahan KHwab likkha jata hai
haqīqatoñ ko yahāñ ḳhvāb likkhā jaatā hai
yahāñ añdheroñ ko mahtāb likkhā jaatā hai
amīr-e-shahr kā irshād bantā hai aḳhbār
so tishna-lab ko bhī sairāb likkhā jaatā hai
kisī ko miltī hai kashtī kisī ko parvāreñ
hamāre hisse meñ girdāb likkhā jaatā hai
hamārī chīḳh pe dhartā nahīñ hai kaan koī
tumhārī uf pe bhī ik baab likkhā jaatā hai
maiñ pūchhtā huuñ hazāroñ savāl us se magar
javāb meñ faqat ādāb likkhā jaatā hai
maiñ ek aise safar par huuñ dosto ki jahāñ
musībatoñ ko bhī asbāb likkhā jaatā hai
haqiqaton ko yahan KHwab likkha jata hai
yahan andheron ko mahtab likkha jata hai
amir-e-shahr ka irshad banta hai aKHbar
so tishna-lab ko bhi sairab likkha jata hai
kisi ko milti hai kashti kisi ko parwaren
hamare hisse mein girdab likkha jata hai
hamari chiKH pe dharta nahin hai kan koi
tumhaari uf pe bhi ek bab likkha jata hai
main puchhta hun hazaron sawal us se magar
jawab mein faqat aadab likkha jata hai
main ek aise safar par hun dosto ki jahan
musibaton ko bhi asbab likkha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.