haqiqaton mein badalta sarab chubhne laga
haqīqatoñ meñ badaltā sarāb chubhne lagā
jo ban sakā na haqīqat vo ḳhvāb chubhne lagā
savāl saḳht hamārā thā par ḳhulūs bahut
tumhārā phuul sā lekin javāb chubhne lagā
javān beTī jahez aur baḌhtī mahñgā.ī
za'īf baap ke dil meñ shabāb chubhne lagā
zarā sā zikr bhī jis meñ nahīñ thā manzil kā
hameñ vo rāh-numā kā ḳhitāb chubhne lagā
kitāb-e-‘asr meñ aġhrāz kī vajah se 'asad'
jo likh sakā na musannif vo baab chubhne lagā
haqiqaton mein badalta sarab chubhne laga
jo ban saka na haqiqat wo KHwab chubhne laga
sawal saKHt hamara tha par KHulus bahut
tumhaara phul sa lekin jawab chubhne laga
jawan beTi jahez aur baDhti mahngai
za'if bap ke dil mein shabab chubhne laga
zara sa zikr bhi jis mein nahin tha manzil ka
hamein wo rah-numa ka KHitab chubhne laga
kitab-e-‘asr mein aghraaz ki wajah se 'asad'
jo likh saka na musannif wo bab chubhne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.