haqiqaton se nazar chura ke KHayal KHwabon mein zinda rahna
haqiqaton se nazar chura ke KHayal KHwabon mein zinda rahna
Sabeen Yunus
MORE BYSabeen Yunus
haqīqatoñ se nazar churā ke ḳhayāl ḳhvāboñ meñ zinda rahnā
zavāl kī dāstān ban kar faqat kitāboñ meñ zinda rahnā
ḳhud apne hāthoñ se ghar jalā ke fazā.eñ masmūm kar ke saarī
jhulaste din aur taḌaptī rātoñ ke phir azāboñ meñ zinda rahnā
hoñ bāda-o-jām sāmne gar nahīñ salāmat jo dast-o-bāzū
to phir hai taqdīr tishnagī ke inhī sarāboñ meñ zinda rahnā
gire haiñ kaT ke vo par thī jin kī uḌaan apnī fazā se aage
utar ke un ko bulandiyoñ se paḌā ḳharāboñ meñ zinda rahnā
jo apnī marzī kī jam.a tafrīq kar ke dil ko lubhā rahe haiñ
nahīñ ḳhabar ki paḌegā kaise kaḌe hisāboñ meñ zinda rahnā
haqiqaton se nazar chura ke KHayal KHwabon mein zinda rahna
zawal ki dastan ban kar faqat kitabon mein zinda rahna
KHud apne hathon se ghar jala ke fazaen masmum kar ke sari
jhulaste din aur taDapti raaton ke phir azabon mein zinda rahna
hon baada-o-jam samne gar nahin salamat jo dast-o-bazu
to phir hai taqdir tishnagi ke inhi sarabon mein zinda rahna
gire hain kaT ke wo par thi jin ki uDan apni faza se aage
utar ke un ko bulandiyon se paDa KHarabon mein zinda rahna
jo apni marzi ki jama tafriq kar ke dil ko lubha rahe hain
nahin KHabar ki paDega kaise kaDe hisabon mein zinda rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.