haqiqaton se nazar kis liye churaata hai
haqīqatoñ se nazar kis liye churātā hai
agar ye sach hai ki tū aa.ina banātā hai
samundaroñ kī tahoñ ko khañgālne vaalā
kabhī kabhī lab-e-dariyā hī Duub jaatā hai
parind dil kā ab āzādiyoñ kī hasrat meñ
qafas kī tīliyāñ aahoñ se bhī jalātā hai
jise bhī rāsta manzil kā maiñ dikhātī huuñ
na jaane kyoñ vo mire naqsh-e-pā miTātā hai
junūñ ke saa.e meñ umreñ guzārne vaalā
rah-e-hayāt meñ kuchh naqsh chhoḌ jaatā hai
vo āñdhiyoñ se bhalā kyā laḌegā ai 'resham'
jo shaḳhs bād-e-sabā se bhī ḳhauf khātā hai
haqiqaton se nazar kis liye churaata hai
agar ye sach hai ki tu aaina banata hai
samundaron ki tahon ko khangalne wala
kabhi kabhi lab-e-dariya hi Dub jata hai
parind dil ka ab aazadiyon ki hasrat mein
qafas ki tiliyan aahon se bhi jalata hai
jise bhi rasta manzil ka main dikhati hun
na jaane kyon wo mere naqsh-e-pa miTata hai
junun ke sae mein umren guzarne wala
rah-e-hayat mein kuchh naqsh chhoD jata hai
wo aandhiyon se bhala kya laDega ai 'resham'
jo shaKHs baad-e-saba se bhi KHauf khata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.