haqir zarra bhi koh-e-giran dikhai de
haqīr zarra bhī koh-e-girāñ dikhā.ī de
kabhī kabhī ye zamīñ āsmāñ dikhā.ī de
jo merī aañkh se aañsū ravāñ dikhā.ī de
to Dūbtā huā saarā jahāñ dikhā.ī de
har ek shaḳhs yahāñ bad-gumāñ dikhā.ī de
mirā ḳhulūs mujhe rā.egāñ dikhā.ī de
zamīñ pe ḳhuun kī sargoshiyāñ ubhartī haiñ
makīñ to koī nahīñ hai makāñ dikhā.ī de
sulagtī ret pe chalte raho kahīñ na kahīñ
ajab nahīñ ki koī sā.ebāñ dikhā.ī de
mire ḳhulūs kī garmī bhī kaam aa na sakī
dabīz barf meñ chehra kahāñ dikhā.ī de
jo bahr-e-vahm meñ Duube hue se rahte haiñ
unheñ yaqīñ kā jazīra kahāñ dikhā.ī de
'nasīm' apnī kahānī kise sunāoge
koī na shahr meñ ab rāzdāñ dikhā.ī de
haqir zarra bhi koh-e-giran dikhai de
kabhi kabhi ye zamin aasman dikhai de
jo meri aankh se aansu rawan dikhai de
to Dubta hua sara jahan dikhai de
har ek shaKHs yahan bad-guman dikhai de
mera KHulus mujhe raegan dikhai de
zamin pe KHun ki sargoshiyan ubharti hain
makin to koi nahin hai makan dikhai de
sulagti ret pe chalte raho kahin na kahin
ajab nahin ki koi saeban dikhai de
mere KHulus ki garmi bhi kaam aa na saki
dabiz barf mein chehra kahan dikhai de
jo bahr-e-wahm mein Dube hue se rahte hain
unhen yaqin ka jazira kahan dikhai de
'nasim' apni kahani kise sunaoge
koi na shahr mein ab raazdan dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.