haqq-e-neamat ada nahin hota
haqq-e-ne.amat adā nahīñ hotā
ham se shukr-e-ḳhudā nahīñ hotā
kyā visāl-e-ḳhudā nahīñ hotā
ishq-e-sādiq se kyā nahīñ hotā
be-bahā dil ko nazr kartā kaun
husn agar dilrubā nahīñ hotā
aah par hans ke ye diyā ta.ana
yuuñ to nām-e-vafā nahīñ hotā
huuñ agar laakh baar bhī sadqe
husn kā den adā nahīñ hotā
hijr meñ ġham-gusār mahram-e-rāz
dard-o-ġham ke sivā nahīñ hotā
jo satātā hai dil jalātā hai
us kā hargiz bhalā nahīñ hotā
ishq kā naam muft hai badnām
ishq achchhā burā nahīñ hotā
aah se arsh hiltā hai ai 'shād'
fazl-e-maulā se kyā nahīñ hotā
haqq-e-neamat ada nahin hota
hum se shukr-e-KHuda nahin hota
kya visal-e-KHuda nahin hota
ishq-e-sadiq se kya nahin hota
be-baha dil ko nazr karta kaun
husn agar dilruba nahin hota
aah par hans ke ye diya tana
yun to nam-e-wafa nahin hota
hun agar lakh bar bhi sadqe
husn ka den ada nahin hota
hijr mein gham-gusar mahram-e-raaz
dard-o-gham ke siwa nahin hota
jo satata hai dil jalata hai
us ka hargiz bhala nahin hota
ishq ka nam muft hai badnam
ishq achchha bura nahin hota
aah se arsh hilta hai ai 'shad'
fazl-e-maula se kya nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.