har aadmi hai mubtala ranj-o-azab mein
har aadmī hai mubtalā ranj-o-azāb meñ
ārām se hai kaun jahān-e-ḳharāb meñ
rindoñ ko kab hai dozaḳh-o-jannat se vāsta
zāhid magar lage haiñ husūl-e-savāb meñ
jo log haiñ zamāne meñ sargarm-o-musta.id
rahte nahīñ ulajh ke ḳhayāl aur ḳhvāb meñ
jis kī ziyā se honī thī taz.īn-e-kā.enāt
vo husn chhup sakā na kisī bhī hijāb meñ
duniyā hai jis kā naam mukammal fareb hai
ahl-e-nazar na kho.eñ kabhī is sarāb meñ
ye vāqi.a hai hazrat-e-‘sāqī’ kī zindagī
ab qaid ho ke rah ga.ī jām-e-sharāb meñ
har aadmi hai mubtala ranj-o-azab mein
aaram se hai kaun jahan-e-KHarab mein
rindon ko kab hai dozaKH-o-jannat se wasta
zahid magar lage hain husul-e-sawab mein
jo log hain zamane mein sargarm-o-mustaid
rahte nahin ulajh ke KHayal aur KHwab mein
jis ki ziya se honi thi tazin-e-kaenat
wo husn chhup saka na kisi bhi hijab mein
duniya hai jis ka nam mukammal fareb hai
ahl-e-nazar na khoen kabhi is sarab mein
ye waqia hai hazrat-e-‘saqi’ ki zindagi
ab qaid ho ke rah gai jam-e-sharab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.