har aadmi KHulus-o-wafa ki misal hai
har aadmī ḳhulūs-o-vafā kī misāl hai
ab kaun bevafā hai samajhnā muhāl hai
ḳhush-fahm panchhiyoñ ko kahāñ ye ḳhayāl hai
is ḳhushnumā uruuj kā āḳhir zavāl hai
maġhrūr āftāb kā anjām soch kar
ġham se hasīn chāñd kā chehrā niDhāl hai
phūloñ kā dard bāñTne vaalā koī nahīñ
kāñToñ ke ehtijāj kā sab ko malāl hai
vo koyaloñ kī kuuk se kyā hogā mutma.in
jis dil ko justujū-e-navā-e-bilāl hai
har aadmi KHulus-o-wafa ki misal hai
ab kaun bewafa hai samajhna muhaal hai
KHush-fahm panchhiyon ko kahan ye KHayal hai
is KHushnuma uruj ka aaKHir zawal hai
maghrur aaftab ka anjam soch kar
gham se hasin chand ka chehra niDhaal hai
phulon ka dard banTne wala koi nahin
kanTon ke ehtijaj ka sab ko malal hai
wo koyalon ki kuk se kya hoga mutmain
jis dil ko justuju-e-nawa-e-bilal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.