har aadmi mein talluq ki bhuk paida kar
har aadmī meñ ta.alluq kī bhuuk paidā kar
tū ḳhud meñ ādat-e-husn-e-sulūk paidā kar
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko maikānikī amal na banā
ye zindagī hai koī bhuul chuuk paidā kar
tujhe suḳhan kī ijāzat khaḌī sharīf se ho
ġhazal meñ nudrat-e-saif-ul-mulūk paidā kar
ḳhazāne se yūñhī ḳhālī na rakh tijorī ko
dil-e-tahī meñ mohabbat kī huuk paidā kar
fazā-e-jabr tire bolne se kaañp uThe
tū zaḳhm zaḳhm gale se vo kuuk paidā kar
har aadmi mein talluq ki bhuk paida kar
tu KHud mein aadat-e-husn-e-suluk paida kar
KHayal-o-KHwab ko maikaniki amal na bana
ye zindagi hai koi bhul chuk paida kar
tujhe suKHan ki ijazat khaDi sharif se ho
ghazal mein nudrat-e-saif-ul-muluk paida kar
KHazane se yunhi KHali na rakh tijori ko
dil-e-tahi mein mohabbat ki huk paida kar
faza-e-jabr tere bolne se kanp uThe
tu zaKHm zaKHm gale se wo kuk paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.